Wednesday, January 7, 2009

Ye kavi kab badalenge!

badal gaya jamaana poora
par kavi, shayar badal naa paaye
tech kraanti ne badli duniya
par ye jaahil sambhal naa paaye


chaand se dete upma aaj bhi
komal kaamini mridu naari ki
lohe aur khanij ka bhandaar ho jo
tulna kyu usse us bechaari ki?


kahaan jalti hai shama mehfil mien,
kisne parwaano ko jalte dekha hai
humne to becharo ko tube-light teere
chhipkali ke mooh mein fisalte dekha hai


konsee chilman aur kahaan ka hijaab
old fashioned hain aise vichaar bhi
paschim ne khol daala sabkutch
arthneeti, vastra aur vyahvaar bhi


par shashwat satya jo kabhi nahi badla
jismein shraddha sabki apaar dikhti hai
ghalib, harivansh to the hi jaise bhi
kaviyatri shakira bhi pee ke likhti hai

1 comment: