Monday, May 28, 2012

Pranav da ko Bharat Ratna

Baat hai 2025 ki, jee haan bhavishya ki! Apne Pranav Mukherjee ko rashtra ka sarvochh samman Bharat Ratna mila hai, kyuki unki neetiyo ke chalte Bharat fir se vaigyanik aavishkaro ka grah ban gaya. Bharat mein aaj paani se chalne vaali car daudti hai, desh mein avishkar pe avishkar ho rahe hain. Pranav da, press conference kar rahe hain, aayie jaanein ki ye sab aakhir kaise hua:




Vishal vistrit samaroh, chakachaundh beech Pranav da muskaye,
note aur pushp se bani mala pehan, thoda sa sharmaye,
Bharat ko vigyan path pe daalne mein role tha inka adbhut,
Aise mantri ko fir aakhir kyu naa sarvocch samman diya jaaye!

"How you made this possible" amreeki navyuvti ne saval daaga,
dekh gori kaaya , Pranav da ki boodhi asthiyo mein sahas jaaga,
josh se bole " The mother of invention is necessity,
And dear lady, how can there be neccassity without scarcity?"

Moorkh shrotagad mein jo ye scholarly uttar naa samajh paaye,
unke chehro pe confusion dekh, Pranav mand mand muskaye,
"humne kari thi research ki kyu nahi hote bharat mein avishkar,
kyu angrej banate hawai jahaaj, kyu german hi banaate acchi car?"

"angrej log bechare gareeb jinhe kami rehti thi kutch samaan ki,
hum maa laxmi ki santaaniein, hamein aadat aaraam ki,
isiliye meine petrol ke daamo ko pratimah anavarata badhaya,
us din ke baad se ek bhi bhartiye, kabhi chain se naa so paaya!"

"ghar mein to sabke khade the scooter aur car,
par petrol bina ho gaye saare hi vaahan bekar
is scarcity se fir hue, ek ke baad ek aavishakar,
aaj petrol se nahi, paani se chalti hai made in india car!"

uttar samajhte hi doosre angrej ne counter question maara,
angrejo ko "gareeb" sun peedit hua tha vo bechara,
"how dare you call us poor, when richest people live in america,"
is nadaan ne moorkhta se Pranava da ko lalkaara!

Pranav daa ne bhi uttejit ho manch se uttar diya karaara,
"dhan ko sada chhupakar rakhna, aisa praachin paath hamara,
varna jo kahin cabinet apne real assets declare kar de,
tumhare Bill, Buffet jaiso ko to Mayawati akele cover kar de!"

Itne mien kisi ne last question, future plan pooch daala,
Pranav daa ne haath jod vinamrata se utaari pushp maala,
"aage aage hum paani bhi peena doobhar kar denge,
is desh mein logo ka kaise bhi jeena doobhar kar denge!!"


No comments:

Post a Comment